Battery life increase kaise kare: Friends kya aapke phone ki battery bhi jaldi hi discharge ho jati hai. Agar ha to chaliye aaj hum aapko is post me batane wale hai ki kaise hum apne mobile battery life increase kar sakte hai.
Lagbhag sabhi phone users ko battery life backup ki problem hoti hai khaas kar un logo ko jo jayda time mobile par hi gujarte hai, Kabhi kabhi aisa bhi hota hai ki internet chalte chalte hum so jate hai,
jiske karan hamare phone ki battery backup me problem aa jati hai, kyuki internet chalne par hamara phone ka screen light on hi rehta hai jab tak ki phone cahala band nahi kar dete aur isse hamare phone ki battery backup problem aa jati hai.
Friends battery backup problem ki aur bhi bahut sare mobile functions hai jiske off nahi karne par phone ki battery kharab ho jati aur fir wo backup nahi deti hai.
Battery life increase kaise kare
Kisi bhi mobile chahe iphone ho ya android ki battery life badhane ke liye kuch tips aapko niche me bata rahe hai jisko aap follow karke aap apne mobile ki battery backup increase kar sakte hai.
Battery Life badhane ke liye kya kya kare ?
kisi bhi smartphone ki battery life increase karne ke liye niche bataye gaye step ko jarur follow kare, jo android ke liye hi nahi balki ios, aur windows phone ke liye bhi helpful hoga.
Turn Off Mobile Data, Wi-Fi & Bluetooth When Not in Use.
Jyadatar log apne mobile ka data, wifi aur bluetooth on hi chor dete hai , jiske karan mobile me kafi application internal memory me run karte rehta hai , jisme aapke battery ka use hote hi rehta hai.
Don't use Live Wallpapers
Live Wallpapers me jo bhi animated picture ya video play hoti rehti hai wo aapke battery ko bahut jald hi discharge kar deta hai , kyuki live Wallpapers me audio, video , gif etc. Rehta hai jo run hote rehta hai.
Turn off Auto Brightness
Auto Brightness filhaal harek phone me rehta hai aur uska use bhi bahut sare users karte hai. Auto Brightness me aap ka mobile ka display light andhere me aap ke phone ka display light kam ho jata hai aur ujale me kafi jayda Bright ho jata hai jiske karan aapka phone ke battery ka jayda use hota hai.
Turn off Vibrate Mode.
Jab hum office ya class me rehte hai tab hame apne phone ko Vibrate Mode me rakh dete hai , aur aisa karne se battery ka kafi use hota hai.
Turn off Auto sync
Auto sync me aapke mobile data sync hota rehta hai , jo kafi jyada der tak sync hote rehta hai.
Turn on Power Saving Mode
Battery backup badhane ka ek tarika ye bhi hai ki aap apne mobile me battery saving mode ko on kar de taki aapke phone me background apps aur others running services band rahegi.
Use original charger
Kabhi kabhi jaldbaji me humlog kisi bhi charger se apne phone ko charge karne lagte hai, jo ki harek mobile users ke liye nuksan sabit ho jata hai , jo baad me aapko kafi dikkat dega.
In Conclusion
mujhe asha hai ki aap is post ki madad Battery life increase kaise kare sikh chuke hoge yadi aapko yeh jankari acchi lagi ho to apne friends ke sath jarur share kare aur social media facebook, twitter par mujhe follow jarur kare.
Read Also:
- किसी भी Mobile Number की Call Details कैसे निकालें ?
- Truecaller से अपना नाम और नंबर कैसे हटाएं ?
- Online Mobile Recharge कैसे करें
- Mobile Me Important File Folder Hide Kaise Kare
टिप्पणियाँ ( 0 )
टिप्पणियाँ देखें