WordPress Post Me Inline Related Post Add Kaise Kare

Telegram Channel Join Now
WhatsApp Channel Join Now

Hello friends welcome to my blog, aaj mai aapko aaj ke is new post me batane wala hu ki kaise aap wordpress Inline related post apne blog me add kar sakte hai.

Agar aap ek WordPress user hai to fir aapke liye ye post bahut hi useful hai kyuki jo tutorials batane ja raha hu uska istemaal aap Sirf or Sirf WordPress blog par hi kar sakte hai.

add inline related post

Jaisa ki aap jante honge ki blog ke sabhi post ke me related post link add karna muskil ho jata hai, lekin aaj ke is post ki madad se aap blog ke sabhi post me related post link add kar sakte hai.

halaki sabhi blog post me related post link add karne se aapke blog par traffic bhi badh sakta hai sath hi jo reader jis topic se related post read kar raha hai usko us topic se related aur bhi link dekhne ko mil jayega jisko wo usi link par click karke ussi blog par read kar sakta hai, uske liye google me search karne ki jarurat ya fir dusre blog visit karna nahi padega.

Blog Ke Liye Related Post Kyu Jaruri Hai

Related Post – Jab koi readers kisi bhi blog ko visit karta hai aur usko post ke middle me ya last me us post se related kuch article link show hote hai.

Related post se blog owner ko ek fayda ye bhi rehta hai ki visitors apke blog par continue reading kar sakta hai kyuki, usko us post se related post jo padhne ko mil raha hai.

WordPress Post Me Inline Related Post Add Kaise Kare

Apne WordPress Blog me inline Related post ko add karna bahut hi aasan hai Sirf aapko isme aapko ek plugin ko install karke niche bataye gaye steps ko follow kar le aur aapke post me inline related post dikhna chalu ho jayega.

Step 1. Sabse Pehle aapko apne blog me login karke Plugin me add new par click karna hai.

Step 2. Ab aapko search box me Inline Related Posts plugin ko install karke active kar lena hai.

Step 3. Ab aapko setting par click karke usme inline Related posts par click kar dena hai.

Step 4. Style setting me active ko check ✅ kar dena hai, aur Related post or Call-To-Action me aapko ” Related Post : ” type kar dena hai.

Step 5. Ab aap theme me minimalist hi Rehne de to achha hoga, ab aap related text color, post title color, box background color, and border color me apne choice ke hisab se set kar le, ab aapko niche me preview dikhega.

Note: agar aap blog post me 1 se jyada related post dikhana chahte hai to “how many boxes per single post” me 3 ko select karke, “interval between post” me 25 dal kar save kar dena hai.

Step 6. Ab aapko kuch nahi karna hai simple save par click kar dena hai.

Finally ab aapke WordPress blog ke post me inline Related post add ho chuka hai ab aap ko harek post me add karne ki jarurat nahi hogi.

Conclusion

friend upar bataye gaye step se aap apne blog post me related post add kar liye honge, I hope agar aapko ye post achha laga ho to apne WordPress user dosto ke sath bhi share kare.

sath hi humse social media se judne ke liye facebook, twitter aur hamare youtube channel ko subscribe jarur kare.

Read Also:

Leave a Comment