Home » Blog » Mobile Marketing » Whatsapp पर Schedule Message कैसे Send करें ?

Whatsapp पर Schedule Message कैसे Send करें ?

Telegram Channel Join Now
WhatsApp Channel Join Now

How to Schedule Whatsapp Message in Hindi: Hello dosto aaj ham batane ja rahe hai ki whatsapp par schedule message kaise send kare.

How to schedule whatsapp message in Hindi
How to Schedule Whatsapp Message in Hindi

kabhi kabhi log apne dosto ko birthday wish exact time par wish karna chahta hai, lekin uske ke aap ko us waqt ka intezaar karna hoga tabhi ja ke aap usse exact time par message send kar payenge,

lekin aaj mai apko ek aisa tricks bata rahe hai, jiski mdd se aap abhi us message ko schedule kar sakte hai, jo aapke dwara set kiye time par automatic send ho jayega.

Dosto kabhi kabhi ham busy ya koi jaruri kam karne lagte hai to us samay ham apne friends, family group, ya koi important group me koi important message ko send ya reply nahi kar pate hai.

Lekin dosto aaj ham batayega ki kis prakar ham apne friends, family group, ya koi important group me koi important message ko whatsapp par message schedule send ya reply kaise karte hain.

How to Schedule Whatsapp Message in Hindi

Step 1. Sabse pehle play store se SKEDit App ko install kare.

Step 2. Uske baad us app ko open kare aur sabhi permissions ko allow karke accessibility me SKEDit App ko Enable karke fir us app ko open karke Whatsapp par click kare.

Step 3. Ab Whatsapp Message Schedule karne ke liye Add Whatsapp Recipient se us bykti ka number select kare jisko aap Schedule Message Send karna chahte hai.

Step 4. Fir niche me Message Type karke Schedule me Date and Time set karke niche Ask me before sending par click kar dena hai.

Step 5. Aur last me jis Date & Time ko Message Schedule kiye the, uska Notification aayega, jisme aapko sirf Send par click karna hai.

Uske baad wo message automatic select kiye gaye number par send ho jayega.

Iske alawa aap FM WhatsApp ya GB Whatsapp me diye gaye Message Scheduler ki madad se bhi Whatsapp Message Schedule karke bhej sakte hai.

Agar aap Laptop ya PC ki madad se Whatsapp message schedule karna chahte hai to aap Blueticks chrome extension ka use kar sakte hai.

Halanki uska tutorial video niche diya gaya hai usko dekh kar aap laptop me bhi whatsapp schedule message send kar payenge.

Friends to aap whatsapp schedule message create kar chuke hai ab aap schedule message aapke dwara set kiye gaye date and time par send ho jayega. Dosto mujhe aashaa hai ki aap tricks ki madad se bahut aasani se whatsapp par schedule message send kar sakte hai.

Read Also:

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top